Interview of Ameer-e-Dawateislami (Ilyas Attar)..MUST LISTEN !!!!

ILYAS ATTAR KI KAHAANI...KHUD ILYAS ATTAR KI ZUBAANI...

(Ilyas Attar ka Interview)


Savaal no.1:-Chaliye janaab sab se pehle hum Ilyas attar se poochte hain ke kya vo Alim-e-deen hai..?Kya unhone kabhi kisi Ustaad se ilm sikha..?


Jaisa ke Aapne khud upar wali clip me unhi ki zubani Suna Ke Ilyas Attar Alim nahi...Ek din bhi kisi Madarase me nahi pada..Magar Ye Sunke hairat hogi ke Ilm ki itni kami hone ke bavajud ye sahaab  uleema e deoband ke sath ikhtelaaf ka davaa karte hain...(Ab kaun inhe samjhaye)Aise La-ilm shaks(ilyas attar) ko musnad-e-Mufti par bitha kar savaal javab poochne ka kya anjaam hota hai vo aap aage padhein....

Savaal no.2:- Kuch Arse Pehle Ilyas Attar se Poocha gaya tha "ke ye Afwa kahan tak durust hai ke DawateIslami TV par aane ki tayyari kar rahi hai.. to In sahaab(ilyas attar) ne TV se bezaari ikhtiyar karte hue kaha...ke DawateIslami Tv Todne ka kaam karti hai...Tv ko to humne aise sangsaar kiya hai jaise kisi zani ko karte hain..." Dawateislami Tv par nahi aayegi..." 

Ilyas Attar ka Jawaab Download Karein click here >>>

Upar diye hue bayan ko sunne ke baad koi bhi Inpar bharosa karle ga ke waqai dawateIslami TV Movie ki mukhalif hai...Magar Lijiye Janaab Kuch Mahine Baad Kya hua ...Ye Aap sab logon ke samne wazeh hai...TV Movie Jaise Haraam kaam ko Halaal bhi kaha aur is Haraam kaam ki nisbat Madina Sharif se karte hue Ma'azallah Apne channel ka Naam Madni Channel rakh diya..!!
Kya pehle diya hua bayan Mansookh ho gaya...? Ya wo afwa nahi balke DawateIslami ki khabar Leak hogayi thi..? usey chupane ke liye aisa jhoota bayan diya gaya ...?
Ab koi hame ye bataye ke 14 inch ka TV todna, Aur ab 21 inch ka TV lagwana ye kahan ki aqal mandi hai...?

Savaal no.3:- Chaliye Ab ye Tv ke itne bade filmstar ban gaye..ke ek Murid ne Ilyas Attar se poocha ke agar aap TV par agay to kya log apke zahiri Deedar ke liye ayaenge..?
Javaab dete waqt ye (ilyas attar) Apne Muh miya mithu...Apne aap ko itne bade wali-e-kamil samajhne lage..ke khud Apni taarif me Inko Gumbad-e-khazra se Tashbeeh deni padi...(Ma'azallah)

Ilyas Attar ka Jawaab Download Karein click here >>>

Kya Isi ko Aajzi aur Inkesaari kehte hain...? Kya yehi Tawazu hai...Jaisa ke Attari muballig apne Ameer ki Advertise karte hain...?Kya apne Aap ko gumbad-e-khazra se tashbeeh dena sahi hai..?

Savaal no.4:- Sab se badaa hairat me daal dene wala kaam to inhone Apne ek savaal-javaab me kiya jisme unse poocha gaya "Kya koi DawateIslami ka muballig kisi dusri tanzeem ka deeni kaam kar sakta hai..? "# Javaab me inhone kaha ke "Nahi, hargiz nahi..Agar koi muballig kisi dusri tanzeem me deeni kaam bhi karega to dawateislami se kharij hojayega..Dawateislami wala na rahega...(Ma'azallah)..."

Ilyas Attar ka Jawaab Download Karein click here >>>

Ab kaho ye kahan ka Mas'ala aur kahan ki shariat hai...? ke deen ka kaam nahi kar sakta...warna "Dawate Ilyasi" se kharij hojayega....Dekh liya Aapne...Agar kisi ghair Aalim ko Musnad-e-Mufti par bitha kar savaal javaab karoge..To yehi haal hoga....


Share this

Related Posts

Previous
Next Post »